Thursday, 20 March 2014

Aaj na jaane kya hua hai

Aaj naa jaane kya hua hai...
Kuch Alag sa ehsaas hua hai..
Na kisi cheez mein Mann hai..
Na koi khel mein fun hai..
Subeh se shaam dil tanha hua hai..
Aaj naa jaane kya hua hai..

Raato mein sirf teri hi yaadein..
Kaano mein guunje teri hi baatein..
Un pyaare lamho ko aaj yaad kiya hai..
Ya Shaayad aaj bhi kuch galat kaam kiya hai!!
Itne logo ke beech kyu tujhko hi dhoonda hai...
E Dil..
Baata aaj na jaane kya hua hai..


Tu kabhi sota kyu nahi hai..
Tu kabhi kuch bolta kyu nahi hai..
Kabhi toh kuch kehe de...
Baate nai toh koi ishaare karde..


Subeh ho ya shaam...
Zubaan Pe bass tera hi naam..
Mann karta hai ki harr pal tere sang guzzaru...
Harr dum bass tujko hi pukaaru!


Rahu harr dam tere saath...
Na ho Koi darneki baat..
Chaahe ho dhoop ya barsaat..
Chalenge hum haathon mein haath!!


Haan harr baar Dil ne tujko hi maanga hai...
Aaj na jaane kya hua hai!
Lagta hai mujko bhi pyaar hua hai!!!!
-Viraj Ghelani

10 comments:

  1. Aaj to mein comment bhi hindi mein hi likhunga.. :P.... Ek number Bhai... ;-)

    ReplyDelete
  2. Ek dum mast hai yar.. :) ...

    ReplyDelete
  3. wah wah !!! kya kavita hain .....tum toh poet the hi abh kavi ban gye ho !!!

    ReplyDelete
  4. Aaj na jane Veeru ko kya hua hai,
    Meri tuteli hindi mein bhi I can tell,
    Ke poem jhakas hai!

    ReplyDelete
  5. Awwwweeeeesssssssssssuuuuuuuummmmmm......!

    ReplyDelete
  6. Sahi hai boss!.,,.,,changa!

    ReplyDelete